|
Post by Pradip on Feb 12, 2018 7:47:08 GMT 5.5
Hy dosto main ek naya love story likhne ja raha hun Jo Ki ap sabhi Ki prerana hai aur please support me to write this story.Mai Jo story likhna chata hun wo kisiki bhi real life se samprkit nahin hai aur agar meri story kisike life se milta he to it's just coincident kyun Ki ye story pura kalpanik hai. Agar pasand aye to comment karna pls. Attachments:
|
|
|
Post by Pradip on Feb 12, 2018 7:50:51 GMT 5.5
Update 1 Delhi jaise ek bade sahar me kanhi ek chote ghar me sannata chaya Hua tha.. Khidki ke pas betha Hua ek ladka is wakt khidki bahar jhank raha tha..bahar ke barish ke mausam ke sath jaise uske ankh Tal Mila liya ho.. Pata nahin kis khayal me gum tha lagatar uske bhige ankhoon se ansoo baha kar gal ko chute hue honth me sama jata hai jaise ye ansoonyen usko dilsa de rahi ho ki "Tu chinta mat kar main hamesha tere sath tha, sath hun , sath rahunga"... Abhi bo bas apni bo jindigi ke khoe hue hasi pollon ko wo dard bhari yad ki kitab ke pannon me dhund raha tha ki achnak uski tandra kisike dwara uske kandhe ko hilane se tutta hai.
wo ladka apne ansoon ke sath bartalap ko bahin sthagit rakhte hue apni ansoon ko ponchta hai aur piche mudke keheta he "good morning Akash" kab utha tu aur wo bhi itni subha kya hua yar tera tabyt to thik haina".
Akash-yar ishme pareshan hone ki kya bat hai ajj result ane bala hai hamara so jaldi uth gaya.aur sun tu thik to haina "Sahil".
Sahil-mujhe kya hoga mai to thik hun.
Akash-chal bat mat ghuma maine dekhliya tha tujhe rote hue.... batana kya hua kahin tu phir wohi bat sochne to nahin laga.......tujhe kitni bar kaha hai ki purani bate bhul kar jindigi me age badh ne ke liye aur tu he ki meri bat sunta hi nahin.....chal jadi fresh hoja aj hame result dekhne college jana hai.
Sahil-ok jata hun yar tu brekfast bana jaldii.....
Akash-tu to aisha keheraha jaise hamesha tu hi breakfast banata hai...
Sahil kuch nahin keheta muskura kar bathroom chala jata hai.
Are main to in dono ke bare main bata na hi bhul gaya.
Sahil-(kahani ki hero)dekhne me handsome hai kisi ko bhi apni taraf atrrct kar sakta hai,age __ hai aur iska apne kahene bala sirf iska dast kam bhai jyada Akash hi hai.(dono 2 2nd year me padh rahe hain Delhi ke xxx college main padhte hain).
Akash-ye bhi handsome hai aur sahil ka ham umar hai.ye bhi sahil ko apna bhai manta hai.
Akash breakfast ready kar chuka hota hai ki sahil fresh hokar ajata hai dono breakfast karke college ke liye nikal jate hain....college pas main hai to dono paidal hi jate hain.....dono college pahunch kar dekhte hain?.
|
|
|
Post by Pradip on Feb 12, 2018 7:55:53 GMT 5.5
Update posted
|
|
|
Post by Pradip on Feb 12, 2018 8:01:18 GMT 5.5
Update 2 Dono college me pahoncte hain aur dekhte hain Ki notice board ke samne bahot bhid hai..... hoga bhi kyun nahin ajj Jo exam ka result ane bala hai.sahil kuch pareshan najar ata hai to Akash use puchta ha ki "kya hua yar bhai tu thik to haina ?"
Sahil-han bhai main thik hun par thoda result ko lekar pareshan hun.
Akash-bhai tu bhi na chal pareshan mat ho sab thik hoga tera kast ka phal jhuta nahin jayega chal chalte hain.
Sahil-chal.
Dono bhid ke pas jate hain...... Sahil dekhta hai ki koi apna result ko lekar dukh hai to koi khusi ke mare kud raha hai......
Itne main Akash use kahata hai "chalna dekhte hain" kaheke uska hat pakad kar bhid ke andar le jata hai....
Sahil - bhai main yahin rukta hai tu jake dekh kar ajja ok aur han mana mat karna please. Akash age kuch kahaena thik nahin samjha aur chaldiya noticeboard ke aurr......kuch samaya ke bad Akash lot kar sahil ke pas ata hai uska chera murjha hua dikhta hai.
Sahil-kya hua tera result kaisa hai aur tu itni udas kyun hai..
Akash-wo main ne 80 percent me pass kiya hun par tuuuuuu...
Sahil-par kya bolna kya main first class me pass kiya hua hun?bolna bhai mujhse raha nahin ja raha...
Akash-wo wo tu wo main
Sahil - ye wo wo kya laga rakha hai jo bolna hai sidha sidha bolna
Akash - dukhi sa chehera bana kar wo tu fail ho gaya hai....itna kaha kar wo apna chehera duri taraf mod kar apni hasi ko rok kar dhime dhime muskarata hai..
Sahil ankhon me ansoo liye keheta hai
Sahil-koi nahin yar jo jaisa karm karta hai wo wesa phal pata hai sayad main ne thik se padha nahin hunga isliye fail ho gaya.
Akash jor jor hasta hai aur phir sahil ke gale lag kar use kaheta hai
Akash-bhai tujhe rula diya ne main maph kar de mujhe bhai tu ro kyun raha hai tujhe khusi hona chahiye ki tune sirf hamara college hin pura dist. . me top kiya hai
Sahil-tu sach kehe ta hi main dist. top kiya hun Akash-ab kya likh ke dun..
sahil ka itna sun na tha ki wo jor jor haste khusi ke mare nachne laga.
Akash use ese khusi me dekh kar wo khusi ho jata bhagwan ko prarthana karta hai "he bhagwab mere dost ko hamesa ese hi khus rakh na".
Doston sacha dosti yahi hota hai ek dusre ki khusi me apne khusi dundta hai. Dono ek dusre ke gale milte hain aur ghr ki aur cha dete hai.
|
|
|
Post by Pradip on Feb 12, 2018 8:03:35 GMT 5.5
Update 2 posted....
|
|
|
Post by Pradip on Feb 12, 2018 8:06:27 GMT 5.5
Padhen aur maja len....
|
|
|
Post by Pradip on Feb 12, 2018 8:17:14 GMT 5.5
Update 3 dono aaj bahot khus the kyunki salbhar ke mehenat ke bad ajj unka intejar khatam huatha....Dono college se bapis apne kamre me ja pahunche ajj dono bahut khus najar aa rahe the.Sahil ko itna khus hote hue akash apni jindigi me sayad hi dekha ho.
Akash - yar tu hamesha khus raha kar.Tujhe bata nahin sakta ki tujhe itni khus dekh kar mujhe kitni khusi ho rahi hai.
ye sun kar sahil apni soch me dub jata hai aur kuch der bad uske chere ke chamak gayab ho jata hai.Uske ankhon me ek niras Sa, hara hua, tuta hua bhab ka ansoo nikal ati hai...
sahil soch me kaheta hi "kash ye hasi sachii hoti".
Akash - bhai tujhe kya hua abhi to tu bahot khus tha phir tujhe kya hua ki tu phirse udas ho gaya.
Sahil - ek phiki muskan chehere par late hue main to isliye khus tha ki mujhe jindigi katne ko ek bahana mil gaya. sahil ki baton me pata nahin esa konsa dard tha jo akash ka rhuh tak hila diya.
Akash - tu hamesha esi bate ktun karta hai , kya bola tu jindigi kat ta hai ek bat bol kya main tere jindigi me koi maine nahin rakhta kya main tera bhain nahin hun ,bol na bolta kyun nahin hann Is wakt dono ke akhen nam ho gayi thin , kuch der khamosi cha gayi.
Sahil ne apni khamosi todte hue "bhai mujhe maph karde wo galti se ese kehe diya dubara nahin kahunga , apna bhai ko maph nahin karega kuch bolna yar tu jo bolega main karunga par mujhe akhri bar maph karde.
Akash - Dekh bhai dubara bhi asi galti ki to tujhe chod kar chala jaunga phir akela rahena ( beshak ye akash ne sahil ko mjakia tor pe kaha tha kunki bo sahil ke upar kabhi gussa nahin hopata)
Sahil - ankon me ansso liye yar tu bhi mujhe UN LOGON KE TARAHA akele tanha chod jana chahta hai itna kaha kar wo bachon ke jaisa rone laga Akash sahil ko gale laga lets hai uske anken bhi nam thi.
Akash - chup kar yar itna bada hokar koi bachon jaisa rota hai kya aur majak me sahi maine tujhe galat bol diya aur tujhe kya lagta hai main tujhe abhi chod kar chala jaunga pahele tere shadi karaunga uske bad main chacha banunga phir tere bachon ke sath khelunga.....
Sahil - aarrere bas kar pagle rulayega kya aur itna lamba bhasan dene ki kya jarurat hai tere bhi to sahdi hoga na dono phirse hansne lagte hain
Akash - ek bat bata jabbhi main tujhe chod kar chale jane ki bat karta hun tu hamesa emotional kyun ho jata hai aur tu hamesha diary me kya likh ta rahata hai tu mujhe bhi nahin dikhata ..
Sahil ek dam chup ho jata hai aur keheta hi " mere past me aisa kuch huatha jisliye main purih taraha main tanha ho gaya tha tut gaya tha isliye tere chod jane bat se mujhe dar lagta hai aur diary me apni life me har ek bat likha hun aur likhta hun jo tujhe bhi kabhi share kar nahin paya par tu ye mat samajh ki mai tuje apna nahin manta sahi wakt ane par main tujhe sab bata dunga"
Akash - main bhi nahin chahta ki jo mere dost mere bhai ko tod diya tha usi bat ko lekar wo phir se tut jaye. ...
is taraha bate karte karte kab sam ho jata hi dono ko pata hi nahin chalta. Sam ko sahil beth kar kuch likh raha tha ki door bell bajta hai .
Akash - bhai main bathroom main hoon dekh kon aya hai.
Sahil -ok bhai,sahil chala jata hai door kholne ko jaise hi wo door kholta hai samne khada sakhs ko dekh kar sahil chonk jata hai.
Sahil - Aapp!!!
|
|
|
Post by Pradip on Feb 12, 2018 8:18:23 GMT 5.5
Update 3 posted....padhiye maja lijiye aur Ho sake to comment kijiye....
|
|
|
Post by Pradip on Feb 12, 2018 8:19:05 GMT 5.5
Aur like bhi agar Ho sake to hi karma ok....
|
|
|
Post by jmianshul on Feb 12, 2018 8:22:41 GMT 5.5
Nice updates Bro
|
|